top of page
  • Writer's pictureAwes Creative #OwaisRazvi

بدلتے حالات میں ہماری زندگی اور ہمارا مذہب

بدلتے حالات میں ہماری زندگی اور ہمارا مذہب ازقلم : محمد اویس رضوی صدیقی



دنیا مسلسل بدل رہی ہے، ٹیکنالوجی تیزی سے ترقی کر رہی ہے، معاشی کرائیسز، جیوپالیٹیکس، اقتصادی تبدیلی، ماحولیاتی تبدیلی، اور میڈیکل کرائیسز، نئی بیماریاں، صحت کی مسائل کے لحاظ سے کئی چیلنجز سامنے آنے والے ہیں، ٹیکنالوجی کے تیزی سے بدلتے ہوئے حالات اور ان سب کا تعلق ہماری زندگی میں کسی نہ کسی شعبے سے ضرور ہے۔ اور ان تمام چیلنجز کا سامنا کرنا تو دور کی بات ہمارے لوگوں کو اس کا علم ہی نہیں ہے۔


دورِ حاضر میں تبدیلیوں پر نظر رکھنا بہت ضروری ہے۔ دنیا تیزی سے بدل رہی ہے، اور ہمیں اپنے اردگرد کے ماحول سے آگاہ رہنا چاہیے۔ ہمیں یہ جاننا چاہیے کہ کیا تبدیلیاں ہو رہی ہیں، اور وہ ہماری زندگیوں کو کیسے متاثر کر رہی ہیں


ہر چیز کا علم رکھنا ضروری ہے


علم ہر اعتبار سے ایک قیمتی سرمایہ ہے جو ہماری زندگیوں کو بہتر بنا دیتا ہے۔ یہ ہمیں دنیا کو سمجھنے اور اپنے اردگرد کے ماحول سے بہتر طریقے سے نمٹنے میں مدد کرتا ہے۔ علم ہمیں اپنے خیالات اور نظریات کو واضح کرنے اور ان کو دوسروں کے ساتھ شیئر کرنے کی صلاحیت دیتا ہے۔ یہ ہمیں اپنی زندگی میں مثبت تبدیلیاں لانے اور دنیا پر ایک مثبت اثر ڈالنے میں مدد کرتا ہے۔ ہمیں چاہیے کہ ہم مذہبی تعلیمات کے ساتھ، ہر تعلیم کو جوڑنے کی کوشش کریں ہم اپنی مذہبی پہچان کے ساتھ ترقی کریں۔


ٹیکنالوجی اور ہمارے لیے آسانی

ٹیکنالوجی کی ترقی نے ہماری مذہبی زندگی کو بہت سے طریقوں سے آسان اور قابل رسائی بنا دیا ہے۔ ہم اب گھر بیٹھے آن لائن مذہبی مواد تک رسائی حاصل کر سکتے ہیں، آن لائن مذہبی خدمات میں شرکت کر سکتے ہیں، اور آن لائن مذہبی رہنماؤں سے مشورہ کر سکتے ہیں۔ ٹیکنالوجی نے مذہبی برادریوں کو بھی ایک دوسرے سے جڑنے اور ایک دوسرے کے ساتھ بات چیت کرنے میں آسانی پیدا کر دی ہے۔ لیکن جہاں فائدہ ہے اس سے کہیں زیادہ نقصان نظر آرہا ہے، ڈیجیٹلی مسلکی وار ہو رہا ہے جس سے ہمارے مذہب و مسلک کا آئے دن نیا نقصان ہو رہا ہے۔


موسمیاتی تبدیلی اور نقصانات

موسمیاتی تبدیلی ایک اور بڑا مسئلہ ہے اس سے ہر کوئی واقف نہیں ہے ، نہ اس بارے میں معلومات رکھنا چاہتا ہے جو ہماری زندگی کو متاثر کر رہا ہے۔ موسمیاتی تبدیلی سے ہونے والے حالات جیسے سیلابی حالات، خشک سالی، اور گرمی کی لہریں ہمارے معاشی زندگی اور صحت کو نقصان پہنچا رہے ہیں۔ موسمیاتی تبدیلی سے ہونے والے حالات نے بہت متاثر کیا ہے۔ مثال کے طور پر، کچھ لوگوں نے موسمیاتی تبدیلی کو ایک عذاب کے طور پر دیکھا ہے، جبکہ دوسروں نے اسے ایک چیلنج کے طور پر دیکھا ہے جس کا سامنا کرنا پڑ رہا ہے۔


ٹیکنالوجی کا مثبت استعمال

جدید ٹیکنالوجی کا مثبت استعمال کر کے دین اسلام کے فروغ میں جہاں آسانیاں فراہم کی جارہی ہیں تو کہیں اسی ٹیکنالوجی کا استعمال کر کے لوگوں کو گمراہی کی راہ پر گامزن کیا جارہا ہے۔

کہیں بے ہودہ اور غیر اخلاقی مناظر سے بھرپور ڈرامے ۔۔ریلز اور شارٹ کلپس، غیر اخلاقی مواد پرتجسس لفظوں سے مزین کر کے پوسٹ کی شکل میں سوشل میڈیا کی زینت بنایا جاتا ہے۔

بدلتے حالات اور اس پر فتن دور میں ایمان کی سلامتی کو جو خطرہ لاحق ہے اس سے میں اور آپ بخوبی واقف ہیں۔


اسلامی طرز عمل اور اسلامی قوانین کی پاسداری اور قرآن و سنت پر عمل پیرا ہوکر جدید ٹیکنالوجی کے زریعے وقت اور حالات کو پیش نظر رکھتے ہوئے مثبت اقدامات کئیے جائیں۔ جس سے امت مسلمہ اور ہماری آنے والی نسلوں کو نقصان سے بچانےکی کوشش کی جائے۔


تبدیلیوں کا اثر مذہب پر


سیاسی اور سماجی پارٹیوں میں تبدیلی بھی ہماری مذہبی زندگی کو متاثر کر رہی ہے۔ دنیا بھر میں جمہوریتیں کمزور ہو رہی ہیں، اور آمریت میں اضافہ ہو رہا ہے۔ یہ تبدیلیاں ہماری مذہبی آزادیوں اور حقوق کو متاثر کر رہی ہیں۔ مثال کے طور پر، کچھ ممالک میں مذہبی اقلیتوں کو ظلم و ستم کا سامنا کرنا پڑ رہا ہے۔کچھ حکومتوں نے مذہبی اقلیتوں کے خلاف پابندیاں عائد کی ہیں۔ جس سے مذہبی عدم رواداری اور نفرت میں اضافہ ہوتا ہوا نظر آرہا ہے۔ عام عوام میں جھگڑے فساد ہو رہےہیں مذہبی آزادیوں اور حقوق کے لیے چیلنج بڑھ رہے ہیں۔


ایک رہنما کی تلاش

ہمارے لیے یہ انتخاب کرنا بہت مشکل ہے

ہمارا رہنما مذہب کے ساتھ ہر شعبہء فکر کو سمجھنے والا ہو۔ رہنما ایسا ہو جو ملک کے لیے امن و امان والے فیصلے کرے، لوگوں کے لیے برابری کا سلوک کرتا ہو، چاہے ان کا مذہب، نسل، یا سماجی حیثیت کچھ بھی ہو۔ ایک اچھا رہنما وہ ہے جو اپنے لوگوں کی فلاح و بہبود کے لیے کام کرتا ہے۔ وہ انصاف پسند، حق بات کہنے والا اور مہربان ہو۔ وہ اپنے لوگوں کی بات سنے، اور ان کی ضروریات کو پورا کرنے کے لیے کام کرے، ایسا رہنما جو ملک و مذہب کو ایک متحد اور مضبوط قوم بنانے کے ساتھ ہمارے ملک کو بہتر بنانے میں مدد کر سکے ۔ وہ ملک کو ترقی، خوشحالی اور امن کی طرف لے جا سکے، دوسرے ملک کے ساتھ تعلقات مظبوط کر سکے جس سے ہمارے ملک میں رہنے والا ہر ایک شعبہ میں ترقی کر سکے۔ عوام خوشحالی زندگی بسر کر سکے۔

لیکن یہ خواب بن کر رہ گیا ہے۔


بدلتے حالات ہماری مذہبی زندگی پر گہرا اثر ڈال رہے ہیں۔ یہ ضروری ہے کہ ہم اپنے بنیادی عقائد اور مذہبی معاملات پر مضبوطی سے ڈٹے رہیں، اور جدید دور کی وہ تبدیلیاں جن کا مذہب سے کوئی ٹکراؤ نہ ہو ان کو بھی اپنائیں تاکہ زمانے کے ساتھ کندھے سے کندھا ملا کر آگے بڑھ سکیں


یاد رہے

جو قرآن و احادیث کے احکام ہیں وہی ہم مسلمانوں کے لیے قانون ہے، ہمیں اپنی مذہبی ہم نواؤں کو مضبوط بنانے اور ایک دوسرے کے ساتھ بات چیت کرنے کی ضرورت ہے۔ ہمیں دیگر مسائل سے نمٹنے کے لیے اپنی صلاحیتوں کا استعمال کرنے کی ضرورت ہے۔ مذہبی برادریوں کو مضبوط بنانے سے کمیونٹیوں میں امن، ترقی اور اتحاد کو فروغ ملے گا جس سے معاشرہ کامیاب ہوگا اور اس کے ساتھ ملک ترقی کرے گا۔


ہماری زندگی کے لیے یہ تمام حالات ایک چیلنج ہیں، اور ہمارے لیے یہ ایک موقع بھی ہیں ۔ ہم اپنی مذہبی زندگی اس کے قانون کے مطابق استعمال کر کے دنیا میں امن و امان، محبت، اور مساوات کو فروغ دینے کی کوشش کریں اپنوں کو آگے بڑھائیں ایجوکیشن پر فوکس کریں۔ ہم اپنے ملک میں غربت اور بے روزگاری کو کم کر سکتے ہیں۔ جس سے ملک میں رہنے والے ہر شعبے میں ترقی کر سکتے ہیں۔


خیر اندیش

محمد اویس رضوی صدیقی

Muhammad Owais Razvi Siddiqui

10-08-2023 - 23-01-1445




 

Badalte haalaat mein hamari zindagi aur hamara mazhab


Duniya musalsal badal rahi hai, technology tezi se taraqqi kar rahi hai, maashi crisis, geopolitics, economic changes, weather changes, aur medical crisis, nayi bimariyan, sehat ke masaail ke lehaz se Bohot Sare challenges samne aane walay hain, technology ke tezi se badalte hue haalaat aur un sab ka ta'alluq hamari zindagi mein kisi na kisi shobe se zaroor hai. Aur in tamam challenges ka samna karna to door ki baat hamare logon ko is ka ilm hi nahi hai.

Daur-e-haazir mein Changes par nazar rakhna bohat zaroori hai. Duniya tezi se badal rahi hai, aur hamein apne ard gird ke mahool se aaghah rehna chahiye. Hamein yeh janna chahiye ke kya tabdeeliyan ho rahi hain, aur woh hamari zindagiyon ko kaise muthir kar rahi hain.

Har cheez ka ilm rakhna zaroori hai


Ilm har i'tibaar se aik qeemti sarmaya hai jo hamari zindagiyon ko behtar bana deta hai. Yeh hamein duniya ko samajhne aur apne ard gird ke mahool se behtar tariqay se niptnay mein madad karta hai. Ilm hamein apne khayalat aur nazariyat ko wazeh karnay aur unko doosron ke saath share karne ki salahiyat deta hai. Yeh hamein apni zindagi mein musbat tabdeeliyan lanay aur duniya par aik musbat asar daalnay mein madad karta hai. Hamein chahiye ke hum mazhabi taleemat ke saath, har taleem ko jornay ki koshish karein, hum apni mazhabi pehchaan ke saath taraqqi karein.

Technology aur hamare liye aasani


Technology ki taraqqi ne hamari mazhabi zindagi ko bohat se tareeqon se aasaan aur qabil rasai bana dia hai. Hum ab ghar baithay online mazhabi mawad tak rasai hasil kar saktay hain, online mazhabi khidmaat mein shareek ho saktay hain, aur online mazhabi rahnumaon se mashwarah kar saktay hain. Technology ne mazhabi baradriyon ko bhi aik doosray se jurnay aur aik doosray ke saath baat chit karne mein aasaani peda kar dia hai. Lekin jahan faida hai, wahan kahin zyada nuksan nazar araha hai, digital musalsal waaar ho raha hai jis se hamare mazhab o mazlik ka aaye din naya nuksan ho raha hai.

Mausmiyat tabdeeli aur nuksanaat


Mausmiyat tabdeeli aik aur bara masla hai, is se har koi waqif nahi hai, na is bare mein maloomat rakhna chahta hai jo hamari zindagi ko mutasir kar raha hai. Mausmiyat tabdeeli se honay walay haalaat jaise sailabi haalaat, khushk saali, aur garmi ki lehren hamari maashi zindagi aur sehat ko nuksan pohancha rahe hain. Mausmiyat tabdeeli se honay walay haalaat ne bohat mutasir kia hai. Misal ke taur par, kuch logon ne mausmiyat tabdeeli ko aik azab ke taur par dekha hai, jabkeh doosron ne ise aik challenge ke taur par dekha hai jis ka samna karna par raha hai.

Technology ka musbat istemaal


Jadeed technology ka musbat istemaal kar ke deen-e-Islam ke farogh mein jahan aasaniyan faraham ki ja rahi hain to kahin usi technology ka istemaal kar ke logon ko gumrahi ki raah par gamzan kia ja raha hai. Kahin be hudah aur ghair ikhlaqi manazir se bharpoor drame, railz aur short clips, ghair ikhlaqi mawad partajs lafzoon se muzayyan kar ke post ki shakal mein social media ki zeenat banai jati hai. Badalte haalaat aur is par fitn door mein eman ki salamati ko jo khatra lahaq hai is se main aur aap bukhobi waqif hain.

Islami tarz-e-amal aur Islami qawaneen ki pasdari aur Quran o Sunnat par amal peera hokar jadeed technology ke zariye waqt aur haalaat ko paish nazar rakhte hue musbat iqdamat kiye jaayein. Jis se ummat-e-Muslima aur hamari aane wali naslon ko nuksan se bachane ki koshish ki jaaye.

Tabdeeliyon ka asar mazhab par


Siyaasi aur samaaji partiyon mein tabdeeli bhi hamari mazhabi zindagi ko mutasir kar rahi hai. Duniya bhar mein jamhooriyat kamzor ho rahi hai, aur aamreit mein izafa ho raha hai. Yeh tabdeeliyan hamari mazhabi azadiyon aur haqooq ko mutasir kar rahi hain. Misal ke taur par, kuch mumalik mein mazhabi aqleatoon ko zulm o sitam ka samna karna par raha hai. Kuch hukumat ne mazhabi aqleatoon ke khilaf pabandiyan aayed ki hain. Jis se mazhabi adam rawadari aur nafrat mein izafa hota hua nazar araha hai. Aam awam mein jhagray fasad ho rahe hain mazhabi azadiyon aur haqooq ke liye challenges barh rahe hain.

Aik rehnuma ki talash


Hamare liye yeh intikhab karna bohat mushkil hai

Hamara rehnuma mazhab ke saath har shobae fikr ko samajhne wala ho. Rehnuma aisa ho jo mulk ke liye aman o aman walay faislay kare, logon ke liye barabri ka salook karta ho, chahe un ka mazhab, nasl, ya samaaji hesiyat kuch bhi ho. Aik acha rehnuma woh hai jo apne logon ki falaah o bahaawood ke liye kaam karta hai. Woh insaf pasand, haq baat karne wala aur mehrban ho. Woh apne logon ki baat sunay, aur un ki zarooriyaat ko poora karne ke liye kaam kare, aisa rehnuma jo mulk aur mazhab ko aik mutahid aur mazboot qaum bananay ke sath hamare mulk ko behtar banane mein madad kar sake. Woh mulk ko taraqqi, khushhali aur aman ki taraf le ja sake, doosre mulk ke saath talluqaat mazboot kar sake jis se hamare mulk mein rehnay walay har aik shobae mein taraqqi kar sakein. Awaam khushhali zindagi basar kar sakein.

Lekin yeh khwab ban kar reh gaya hai.

Badalte haalaat hamari mazhabi zindagi par gehra asar daal rahe hain. Yeh zaroori hai ke hum apni buniyadi aqaid aur mazhabi mamlaat par mazbooti se dhatay rahain, aur jadeed daur ki woh tabdeeliyan jin ka mazhab se koi takrao na ho unko bhi apnayin taake zamanay ke sath kandhe se kandha mila kar aage barh sakein.

Yaad rahe


Jo Quran o Ahadith ke ahkam hain wahi ham musalmanon ke liye qanoon hain, hamein apni mazhabi hum nawayon ko mazboot banane aur aik doosre ke saath baat chit karne ki zaroorat hai. Hamein degar masaail se niptnay ke liye apni salahiyaton ka istemal karne ki zaroorat hai. Mazhabi baradriyon ko mazboot banane se communityon mein aman, taraqqi aur ittehad ko furogh milega jis se muaashra kaamiyab hoga aur us ke sath mulk taraqqi karega.

Hamari zindagi ke liye yeh tamam haalaat aik challenge hain, aur hamare liye yeh aik mauqa bhi hain. Hum apni mazhabi zindagi is ke qawaanin ke mutabiq istemaal kar ke duniya mein aman o aman, mohabbat aur musawaat ko furogh dene ki koshish karein apno ko aage barhaien. Education par focus karein. Hum apne mulk mein ghurbat aur bay rozgari ko kam kar saktay hain. Jis se mulk mein rehnay walay har shobae mein taraqqi kar saktay hain.

Kher andesh

Muhammad Ovais Rizvi Siddiqi

14 views0 comments
bottom of page